Hijr ka tara doob chala ha dhalnay lagi ab raat wasiQatra qatra bars rahi ha ashkon ki barsat wasi
Taray bad ye duniya walay muj ko pagal kar dain ge
Khusbu k des main muj ko lay chal apnay sath wasi
Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum sum baitho gay
Khamoshi say dam ghut-ta ha chero koi bat wasi
Aj to us ka chehra b kuch badla badla lagta ha
Mosam badla, dunya badli badal gay halat wasi
Mare ghar main khushbu ka ye raqs usi k dam say ha
Us k sath chali jay gi phoolon ki barat wasi
Chor wasi ab us ki yaadain tuj ko pagal kar dain gi
Too qatra ha wo darya ha daikh apni oqat WASI....
No comments:
Post a Comment