Tuesday, June 23, 2009

SMS Experts

Ujray huay logon say guraizan na hua kar
Halat ki qabron k katbay bhi parha kar

Kya janiay kiun taiz hawa soch main gum ha
Khuabaida parindon say ura kar

Her waqt ka hansna tujay barbad na kar day
Tanhai k lamhon main kabi ro bhi lia kar

Main mit bhi chuka mil bhi chuka moj-e-hawa main
Ab rait k seenay pay he mara naam likha ha

Pehlay sa kahan ab mari raftar ka alam
Ay gardish-e-doran zara tham k chala kar

Ay dil tujay dushman ki bhi pehchan kahan ha
Too halqa-e-yaran main bhi mohtat raha kar

Is shab k muqadar main seher he nahi mohsin
Daikha ha kai baar charaghon ko bujha kar.

2 comments:

  1. Ujray huay logon say guraizan na hua kar

    ReplyDelete